Toggle navigation
Sanchayani
About
Services
Contact
Login
Registration
Title :Health Benefits of Fasting
Blogger :पूजा
SUbject :Health Benefits of Fasting: Upvas ke Anmol Fayde
likes:2 dislike:0
1) Vrata karne se kai bimariyo se nijaat paya ja sakta hai jese arthritis, asthma, ucch raktchap, humesha bane rehne wali thakan, colitis aur bhi kai tarah ki mansik bimariyo se bacha ja sakta hai.
You may also like: Health Benefits of Peanuts: Mungfali Ke Bahumulya Fayde
2) Upvas ke jariye Motape ki samasya se nijat paya ja sakta hai. Vajan kam karne ke liye upvas se accha upay nahi hai. Kyuki yeh ek surakshit aur tatkal prabhavi tarika hai.
3) Mann ki shanty, dimag tez ke liye fast karna laabhdayak hota hai.
4) Upvas ke jariye pachan tantra thik hokar sucharu roop se kaam karne lagta hai.
5) Vrata ke madhyam se hi aanto me bhojan se ras sokhne ki kriya me vraddhi hoti hai.
6) Upvas se metabolism khasa prbhavi hota hai. Jisse harmones, gurde, lever, RBC ityadi par sakaratmak prabhav padta hai.
7 ) Upvas se aadmi halka mahsoos karta hai. Lekin upvas ke douran yeh behad jaruri hai hai ki pani aur taral padarth ka adhik prayog kiya jaye.
8) Vrata se kabj, gas, acidity, sar dard, bukhar jese kai rogo ka naash hota hai.
9) Upvas se sharir ka urja ka star bad jata hai, sharir ke sabhi parts me urja ka sanchar hone lagta hai, twach sanvedalshil, narm aur reshami ho jati hai saath hi haath-pairo ka sanchalan saralta se hone lagta hai.
Inn tips ko apnakar aap paiye Health Benefits of Fasting. To kijiye iss season ki navratri me upvas aur paiye dhero swasth laabh.